Mohammad Rafi – Letras de Aaj Kal Mein Dhal Gayaa

Álbum: Beti Bete (1964)

aaj kal mein dhal gaya, din hua tamaam
tu bhi so jaa, so gayi rang bhari shaam

so gaya chaman chaman so gayi kalee kalee
so gaye hain sab nagar, so gayi galee galee
neend keh rahi hai chal meri baahein thaam

hai bujha bujha sa dil bojh saans saans par
jee rahe hain phir bhi hum sirf kal ki aas par
keh rahi hai chandni le ke tera naam

kaun aayegaa idhar, kis ki raah dekhein hum
jin ki aahatein sunee, jaane kis ke the qadam
apnaa koee bhi nahee, apane hain to raam

Añadido por Guest