I like this song alot, but can't undersrand it's lyrics. Can some1 please translate this beautiful song into english for me? Rahet Fateh Ali (Batain Kartey Raho)
Would be soooo nice of you
baatain sunte raho
baatain karte raho
baatain sunte raho, baatain karte raho
dil ki aawaaz ko ab dabaana nahi
baatain sunte raho, baatain karte raho
haar jaao to dil haar jaana nahi
log kehte thay ham khush hon kis baat par
in ke ab jeetne ka zamaana nahi
in se mansoob hain daastaanain kaii
roz aati hain khabrain naii se naii
baatain sunte raho
baatain karte raho
baatain sunte raho, baatain karte raho
in ki baaton mein ham ko to aana nahi
chal parray ham-safar, dil mein yeh thaan kar
apni manzil se aankhain hataana nahi
waqt hairaan tha, waqt hairaan tha
poora hota gayaa jo bhi armaan tha
jeet ki roshni phailti hi gaii
dil hamaara kahin haar maana nahi
sirf do gaam par thi woh manzil magar
ruk gayaa raasta, ruk gaey ham-safar
yaad aane lage saare roshan diye
jin se waada tha in ko bujhaana nahi
larr ke haara hai jo, ham ko pyaara hai woh
us ki himmat ko ham ne bhulaana nahi
larr ke haara hai jo, ham ko pyaara hai woh
us ki himmat ko ham ne bhulaana nahi
baatain sunte raho, baatain karte raho
dil ki aawaaz ko ab dabaana nahi
baatain sunte raho
baatain karte raho