hello, could u be a angel and tranalte this to Teri ummid, teri baatein
Woh lamha lamha katati tere naam se raatein
Dard se yuun mulaakaat hogi - 2
Dil ne ye na jaana
Nazdikiyon mein duriyon ki baat??? hogi
Dil ne ye na jaana, (na jaana - 8)
Teri yaadon ke ghane saayein
Yeh kaise manjar par mujhko hain lekar aayein
Is tarah ashq ki barsaat hogi
Dil ne ye na jaana, (na jaana - 8)
Teri ummid, teri baatein
Woh lamha lamha katati tere naam se raatein
Is tarah bechaingi mere saath hogi
Dil ne yeh na jaana, (na jaana - 8)
Dard se yun mulaakaat hogi - 2
Dil ne ye na jaana, (na jaana - 8)
Na jaana