masti-Dil ne diya hai english translation

Thread: masti-Dil ne diya hai english translation

Tags: None
  1. Greshopa said:

    Default masti-Dil ne diya hai english translation

    can someone please translate this beautiful song for me

    Aa…aa…
    Dil de diya hai, jaan tumhein denge
    Aa..
    (Dil de diya hai, jaan tumhein denge
    Daga nahin karenge sanam) -2
    Ho…rab di kasam yaara, rab di kasam
    (Dil de diya hai, jaan tumhein denge
    Daga nahin karenge sanam) -2

    (Rukh zindagi ne mod liya kaisa
    Hamne socha nahin tha kabhi aisa) -2
    Aata nahin yaqeen, kya se kya ho gaya
    Kis tarha main tumse, bewafa ho gaya
    Insaaf kar do, mujhe maaf kar do
    Itna hi kar do karam
    Dil de diya hai, jaan tumhein denge
    Daga nahin karenge sanam

    (Awaargi mein ban gaya diwaana
    Maine kyun saadgi ko nahin jaana) -2
    Chaahat yahi hai ke, is qadar pyaar doon
    Qadmon mein tere main, toh jahaan waar doon
    Chain mera le lo, khushi meri le lo
    De do mujhe dedo saare gham
    Dil de diya hai, jaan tumhein denge
    Daga nahin karenge sanam

    (Mere ashq keh rahe meri kahaani
    Inhein samjho na tum sirf paani) -2
    Ro ro ke aansuon ke daag dhool jaayenge
    In mein wafa ke rang, aaj ghool jaayenge
    Paas tum rahogi, bhool ab na hogi
    Karoonga na tumpe sitam
    Dil de diya hai, jaan tumhein denge
    Daga nahin karenge sanam
    Ho…rab di kasam yaara, rab di kasam
    (Dil de diya hai, jaan tumhein denge
    Daga nahin karenge sanam) -2
     
  2. Steena's Avatar

    Steena said:

    Default

    होता है जो होना है ... वक़्त ही शायद खुदा है ...
    कौन कहता है आदमी अपनी किस्मत खुद लिखता है?