Artist: Lata Mangeshkar Album: Unsorted Song: Bhar Bhar Ke Pila Translated title:
Bhar Bhar Ke Pila letra
Bhar Bhar Ke Pila songtext
Bhar Bhar Ke Pila lyrique
Bhar Bhar Ke Pila testo
Bhar Bhar Ke Pila referencias
cho : aa ja ~ aa ja aa ja mere saaqi hasarat hai dil mein baaqi ulfat ka jaam pila ja jeene ka dhang bata ja aa ja aa ja aa ja aa ja aa ja~~
lataa: ye kis ne pukaara hai mujhe kis ne pukaaraa~ hai kaun talabgaar mera kaun hai pyaaraa~
samooh svar: saaqi main idhar hoon main idhar hoon main idhar hoon
main paas mein baitha hoon aur main kadamon mein pada hoon
cho : bhar bhar ke jaam pila de -2 saaqi bana de matavaala tu la la la bas bana de matavaala -2
lataa: sharaab-e-husn nazar se pilaane aayi hoon main ek-ek ko bekhud banaane aayi hoon -2 ada se naaz se abaro ke ik ishaare se -2 dilon mein ishq ka jaadu jagaane aayi hoon
cho : bhar bhar ke jaam pila de ...
lataa: nazar milaao to dil ko qaraar a jaaye har ek ada pe tum ko pyaar a jaaye uthaao jaam ke janata se kam nahi duniya -2 piyo piyo ke tumhen aitabaar a jaaye -2
cho : bhar bhar ke jaam pila de ...
lataa: vo muskura ke nigaahen milaaye jaate hain~ suruur ban ke mere dil pe chhaaye jaate hain - 2 mili hai aaj jo un ki nazar se meri nazar - 2 to haay mere kadam dagamagaaye jaate hain