Ek Pyar Ka Nagma Hai lyrics
--FEMALE--
Mm mm mm, mm mm mm mm
Mm mm mm mm mm mm, mm mm mm mm, mm mm mm mm
Ek pyar ka nagma hai, maujon ki ravaani hai - 2
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai
Ek pyar ka nagma hai, maujon ki ravaani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai
Ek pyar ka nagma hai
La la la la la la, la la la la la la
Kuch paakar khona hai, kuch khokar paana hai
Jeevan ka matlab to aana aur jaana hai
Do pal ke jeevan se ek umr churaani hai
--MALE--
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai
--BOTH--
Ek pyar ka nagma hai
--MALE--
Tu dhaar hai nadiya ki, main tera kinaara hoon
--FEMALE--
Tu mera sahaara hai, main tera sahaara hoon
Aankhon mein samandar hai, aashaaon ka paani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai
--BOTH--
Ek pyar ka nagma hai
--MALE--
Toofaan to aana hai, aakar chale jaana hai
Baadal hai yeh kuch pal ka, chhaakar dhal jaana hai
Parchhaaniyan reh jaati, reh jaati nishaani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai
Ek pyar ka nagma hai, maujon ki ravaani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai
Ek pyar ka nagma hai
Top Lata Mangeshkar songs
- Lag Ja Gale Se
- Aapki Nazron Ne Samjha
- Ek Pyar Ka Nagma Hai
- Zindagi Pyar Ka Geet
- Hum Bhool Gaye Re Har Baat
- Aa Ke Teri Bahon Main
- Ek Tera Saath
- Aaja Sanam Madhur Chandni Mein Hum
- Agar Tum Na Hote
- Guzra Hua Zamana, Aata Nahin Dubara
- Didi Tera Devar Deewana
- Ajeeb Daastaan Hai Yeh
- Solah Baras Ki Baali Umar Ko Salaam
- Pankh Hote Toh Udd Aati Re
- Aaja Re Pardesi

Comment Ek Pyar Ka Nagma Hai