Khaamosh Sa Afsaana lyrics
Da da da da di da da, da da da da di da da - 4
Khaamosh sa afsaana paani se likha hota - 2
Na tumne kaha hota, na humne suna hota
Khaamosh sa afsaana
La la la la, la la la la
Dil ki baat na poochho, dil to aata rahega - 2
Dil bahekaata raha hai, dil bahekaata rahega
Dil ko tumne, oh, kuch samjhaaya hota
Khaamosh sa afsaana paani se likha hota
Na tumne kaha hota, na humne suna hota
Khaamosh sa afsaana
Sehme se rehte hai jab yeh din dhalte hai - 2
Ek diya bujhta hai, ek diya jalta hai
Tumne koi, oh, deep jalaaya hota
Khaamosh sa afsaana paani se likha hota
Na tumne kaha hota, na humne suna hota
Khaamosh sa afsaana
Kitne saahil dhoonde, koi na saamne aaya - 2
Jab majdhaar mein doobe, saahil thaamne aaya
Tumne saahil, oh, pehle bichhaaya hota
Khaamosh sa afsaana paani se likha hota
Na tumne kaha hota, na humne suna hota
Khaamosh sa afsaana
Top Suresh Wadkar songs
- Tumse Milke Aisa Laga
- Huzoor Is Kadar Bhi
- Ram Teri Ganga Maili
- Chhod Aaye Hum Vo Galiyaan
- Seene Mein Jalan
- Bol Radha Bol
- Tum Mere Ho
- Likhane Wale Ne Likh Daale
- Goro Ki Na Kalo Ki
- Ye Aankhe Dekh Kar
- Sona Kare Jhilmil Jhilmil
- Chappa Chappa Charkha Chale
- Pardesi Pardesi Jaana Nahin
- Pyaar Ye Jaane Kaisa Hai
- Baabul De Do Duaa

Comment Khaamosh Sa Afsaana