Shaan – Meri Bechainiyaan Meri Khaamoshiyaan lyrics

meri bechainiyaan meri khaamoshiyaan
tumse kehne lagi dil ki madhoshiyaan
pyar ki chaanv mein aaj main toh so gayi
pyar ki chaanv mein aaj main toh so gayi
main teri ho gayi - 2
meri bechainiyaan meri khaamoshiyaan
tumse kehne lagi dil ki madhoshiyaan
pyar ki chaanv mein aaj se tu kho gayi
pyar ki chaanv mein aaj se tu kho gayi
main teri ho gayi - 2
meri bechainiyaan meri khaamoshiyaan - 2

chaandani se dhula mil gaya aasmaan aasmaan
pyar karne ka ab aa gaya hain sama yeh sama
kar le vaada abhi ham na bichhade kabhi
saath apane rahe pyar yeh shabnami
pyar ki chaanv mein aaj se tu kho gayi
pyar ki chaanv mein aaj se tu kho gayi
main teri ho gayi - 2
meri bechainiyaan meri khaamoshiyaan - 2

ab naa aaye koi pyar ke darmayaan darmayaan
ab hai tere liye dil ka yeh aashiyaan aashiyaan
tu meri bekhudi tu meri dilkashi
naam likh di tere aaj se zindagi
pyar ki chaanv mein aaj main toh so gayi
pyar ki chaanv mein aaj main toh so gayi
main teri ho gayi - 2
meri bechainiyaan meri khaamoshiyaan
tumse kehne lagi dil ki madhoshiyaan
pyar ki chaanv mein aaj main toh so gayi
pyar ki chaanv mein aaj main toh so gayi
main teri ho gayi - 2
meri bechainiyaan - 2
meri khaamoshiyaan - 2
meri bechainiyaan - 2
meri khaamoshiyaan - 2

Submitted by Guest