Udit Narayan, Abhijeet – Mujhe Pyaar Hai Sirf Tumse lyrics

Mujhe pyaar hai, pyaar hai sirf tumse
Mere jeene ki bahaar hai sirf tumse
Meri zindagi gulzaar hai sirf tumse
Mera aaj yeh ikraar hai sirf tumse
Jaanam, na jaana chhodkar mujhe kabhi - 2
Jaanam, ho jaanam, haan jaanam
Ek khushi ki tamanna mujhko tadpa rahi thi
Yunhi tanhaaiyon mein zindagi jaa rahi thi
Meri duniya mein aake, mujhko apna banaake
Badal di tumne meri zindagi
Jaanam, na jaana chhodkar mujhe kabhi - 2
Jaanam, ho jaanam, haan jaanam
Umr bhar saath doonga main tera meet banke
Dekh na ab tamaashe mere deewaanepan ke
Is jahaan ko bhulaake, tumko dil mein chhupaake
Karoonga main tumhaari bandagi
Jaanam, na jaana chhodkar mujhe kabhi - 2
Jaanam, ho jaanam, haan jaanam
Mujhe pyaar hai, pyaar hai sirf tumse
Mere jeene ki bahaar hai sirf tumse
Meri zindagi gulzaar hai sirf tumse
Mera aaj yeh ikraar hai sirf tumse
Jaanam, na jaana chhodkar mujhe kabhi - 2
Jaanam, ho jaanam, haan jaanam

Submitted by Guest