Udit Narayan, Abhijeet – Uttar Dakshin Poorab Pashchim lyrics

Uttar dakshin poorab pashchim anjaani raahon mein ghoomoon
Din jhoome raatein jhoome do dil bhi jhoome main bhi jhoomoon
Tum jo kaho kehte raho ye hai deewangi

Ulti seedhi dayein bayein aage peechhe tu kyon ghoome
Arre din jhoome na jhoome raatein deewani bas tu hi jhoome
Yoon naachti yoon jhoomti kyon hai tu ghoomti

Haan bhai haan

Pardesi hum aur paraaya nagar deewani tu chali hai kidhar
Ab meri baat maanle da chhod doon main ghar

Ye roshani mein nahaaya nagar rukti nahin hai kahin bhi nazar
In raaston ko chhodke jaayega kaun ghar

Zara thehro zara thehro thehro na
Mujhe chhodo mujhe chhodo chhodo na
Tu meri jaan aise kahan behki behki chali

Uttar dakshin poorab pashchim anjaani raahon mein ghoomoon
Haan din jhoome raatein jhoome do dil bhi jhoome main bhi jhoomoon
Haan bhai haan

Kam na hui jo teri mastiyaan badnaami hogi teri yahan
Arre kuchh to samajh se kaam le tere hosh hain kahan

Duniya banaati rahe dastaan badnami ka darr mujhe hain kahan
Ab to ye dil jahan kahe jaoongi main vahan

Zara thehro zara thehro thehro na
Mujhe chhodo mujhe chhodo chhodo na
Itna samajh aye nasamajh ye hai aawaargi

Uttar dakshin poorab pashchim anjaani raahon mein ghoomoon
Din jhoome raatein jhoome do dil bhi jhoome main bhi jhoomoon
Tum jo kaho kehte raho ye hai deewangi

Ulti seedhi dayein bayein aage peechhe tu kyon ghoome
Arre din jhoome na jhoome raatein deewani bas tu hi jhoome
Yoon naachti yoon jhoomti kyon hai tu ghoomti

Uttar dakshin poorab pashchim anjaani raahon mein ghoomoon
Din jhoome raatein jhoome do dil bhi jhoome main bhi jhoomoon
Haan bhai haan

Submitted by Guest