Sun Ri Sakhi Mohe Sajana Bulaaye Lyrics

(sun ri sakhi mohe sajana bulaaye
mohe jaana hai pi ki nagariya
ho mohe jaana hai pi ki nagariya) - 2

chun chun bagiya se laaun ri chameliya - 2
kaliyon se meri sajaao ri doliya
kajara lagaao maathe bindiya sajaao
mohe rang do gulaabi chunariya
ho mohe jaana hai pi ki nagariya
sun ri sakhi ...

bansi ki dhun mein bulaaye mora chhaliya - 2
laao ri kahaan hai nigodi paayaliya
maang bharo mat der karo
kaheen rooth na jaaye saanvariya
ho mohe jaana hai pi ki nagariya
sun ri sakhi ...

Hinzugefügt von Guest