Suresh Wadkar – Letras de Seene Mein Jalan

seene mein jalan aankhon mein tufaan saa kyon hai ?
is shahar mein har shaks pareshaan saa kyon hai ?

dil hai to dhadkaane ka bahaanaa koee dhoondhe
patthar kee tarah behees-o-bejaan saa kyon hai ?

tanhaee kee ye kaunsee manzil hai rafeekon
taa-hadde-nazar ek bayaabaan saa kyun hai ?

kyaa koee nayee baat nazar aatee hai hum me
aaeena humein dekh ke hairaan saa kyun hai ?

Añadido por Guest