Rasm-e-ulfat lyrics

Rasm-e-ulfat ko nibhaayen to nibhaayen kaise
Har taraf aag hai daaman ko bachaayen kaise

Dil ki raahon mein uthate hain jo duniyawale
Koi kehde ke woh deewar giraayen kaise

Dard mein doobe hue naghmein hazaron hain magar
Saaz-e-dil toot gaya ho to sunaayen kaise

Bojh hota jo ghamon ka to utha bhi lete
Zindagi bojh bani ho to uthaayen kaise

Rasm-e-ulfat ko nibhaayen to nibhaayen kaise
Har taraf aag hai daaman ko bachaayen kaise

Submitted by Guest