Lata Mangeshkar – Tera Mera Yaranay lyrics

tapte hue sehraaon mein sadiyon baad barsaat hogi

hafte mahine barson nahi sadiyon se hain yeh puraane
tere mere yaaranay ho - 2 ho ho ho
galiya nagar gaanv basti nahi
saari duniya hi yeh jaane
tere mere yaaranay ho - 2 ho ho ho
hafte mahine barson nahi sadiyon se hain yeh puraane
tere mere yaaranay ho - 2 ho ho ho

nainon ke kaajal se paanv ki paayal se
zulfon ke aanchal se puchho
nainon ke kaajal se paanv ki paayal se
zulfon ke aanchal se puchho
apani adaaon se in gori baahon se
tirchhi nigaahon se puchho
kya
mujhe har janam mein mila saath tera
beete hain kitne zamane
tere mere yaaranay ho - 2 ho ho ho
galiya nagar gaanv basti nahi
saari duniya hi yeh jaane
tere mere yaaranay ho - 2

kaali ghataaon se uddti fizaaon ne
mehki hawaaon ne dekha
kaali ghataaon se uddti fizaaon ne
mehki hawaaon ne dekha
chanda ke gheron ne gehre andheron ne
chadte saveron ne dekha
kya
sabne hain jaana pehchaana yeh maana
tu maane ya na maane
tere mere yaaranay ho - 2 ho ho ho ho
hafte mahine barson nahi sadiyon se hain yeh puraane
tere mere yaaranay ho - 2 ho ho ho

aankhon mein sapane lage hain tadapne
khayalon mein tasveer teri
aankhon mein sapane lage hain tadapne
khayalon mein tasveer teri
khud ko bhula ke tere paas aake
kehti hain taqdeer meri
meri mohabbat aur teri vafaa ke bante rahenge fasaane
tere mere yaaranay ho - 2 ho ho ho
hafte mahine barson nahi sadiyon se hain yeh puraane
tere mere yaaranay ho - 5

Submitted by Guest