Mohammad Rafi – Main Pyar Ka Deewana lyrics

main pyar ka deewana sabse mujhe ulfat hain
har phool mera dil hain aur dil mein mohabbat hain
main pyaar ka deewana ...

ghabra ke khizaa gujri aur daur naya aaya
insaan ke jeevan mein ik rang naya laaya
( seene mein nayi halchal ) -2
chehare pe bhi rangat hain
main pyaar ka deewana ...

sunta hoon main leharon se sangeet bahaaron ke
dam lene ko rukta hoon saaye mein chanaaron ke
( kaante hon ki angaare ) -2 chalna meri aadat hai
main pyaar ka deewana ...

tu kya hain mujhe ek din mil jaaye to main jaanoon
aur phool mere dil ka khil jaaye to main maanoon
( jalavon ka pujaari hoon ) -2 deedaar ki hasrat hain
main pyaar ka deewana ..

Submitted by Guest